taqdir ke darbar mein alqab pade the hum log magar khwab mein be-khwab pade the yakh-basta hawaon mein thi khamosh haqiqat hum soch ki dahliz pe betab pade the taswir thi ehsas ki tahrir hawa ki sahra mein tere aks ke girdab pade the kal raat mein jis rah se ghar laut ke aaya us rah mein bikhre hue kuchh khwab pade the wo phul jinhen aap ne dekha tha ada se ujde hue mausam mein bhi shadab pade the pachchis baras baad use dekh ke socha ek qatra-e-kam-zat mein gharqab pade the hum log to akhlaq bhi rakh aae hain 'sahil' raddi ke isi dher mein aadab pade the