taqdir se karen ki gila baghban se hum chhoda hai kab chhudae gae aashiyan se hum furqat mein kaam lete to zabt-e-fughan se hum late magar ye dil ye kaleja kahan se hum tafsil-e-bazm-e-husn sunain kahan se hum jab aae darmiyan mein uthe darmiyan se hum manzil pe pahunche qafila wale magar hanuz khela kiye ghubar-e-pas-e-karwan se hum kat jae shakh-e-zist se patta na jaane kab bagh-e-jahan mein ab to hain barg-e-khizan se hum ahd-e-shabab mein jo bararte the misl-e-tir piri mein dekhte hain unhin ko kaman se hum phir hum samajhte mil gai hum ko wafa ki dad rudad-e-ishq sunte jo un ki zaban se hum duniya ka ranj hai na to uqba ki fikr hai yun be-niyaz ho gae donon-jahan se hum kya jaane koi ashk-e-nadamat ki aabru lae hain tare tod ke ye aasman se hum manzil shanas-e-rah-e-haqiqat se puchhiye hum se ye karwan hai ki hain karwan se hum 'shoala' samajh mein aaenge kya raaz-ha-e-ishq jab tak ki aashna na hon dard-e-nihan se hum