tare ginne ke zamane ab kahan aashiqi ke wo tarane ab kahan kaun marta hai kisi ke waste laila majnun ke fasane ab kahan wo na dariya aur na gahri chahaten sohni aur mahi diwane ab kahan kaun chirega pahadon ke jigar taisha-e-farhad jaane ab kahan aankhon aankhon mein jo hote the kabhi hir ranjhe ke nishane ab kahan samne aa jae yusuf aur bas wo zulekha ke bahane ab kahan jao jao aashiq-e-'khanam' ki wo bhole-pan ke sab zamane ab kahan