tark-e-wafa garche sadaqat nahin

By qayem-chaa.ndpuriNovember 12, 2020
tark-e-wafa garche sadaqat nahin
par ye sitam sahne ki taqat nahin
tark kar apna bhi ki is rah mein
har koi shayan-e-rifaqat nahin


koi dawa mujh se ki karta hai lek
ab ke tabibon mein hazaqat nahin
kasb-e-hunar kar na ki is waqt mein
is se badi aur himaqat nahin


nam hi 'qaem' ka gaya hai nikal
warna kuchh itni to liyaqat nahin
29632 viewsghazalEnglish