tark jis din se kiya hum ne shakebai ka ja-ba-ja shahr mein charcha hua ruswai ka ghair dagh-e-dil-e-sad-chaak na monis na rafiq zor aalam pe hai aalam meri tanhai ka pahron hi apne tain aap hun bhula rahta dhyan aata hai jab apne mujhe harjai ka zalzala gor mein majnun ki pada rahta hai apna ye shor hai ab baadiya-paimai ka jalwa us ka hai har ek ghar mein basan-e-khurshid farq hai apni faqat aah ye binai ka kalma-e-haq bhi dam-e-naza na nikla munh se shaikh ko dhyan tha aisa but-e-tarsai ka kashish-e-nala use kahte hain ab wo jo 'surur' mahw-e-nazzara hua apne tamashai ka