tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise chhod degi mujhe tu ai shab-e-furqat kaise un se pursish hai mere khun ki nadamat mujhe hai munh par ab dal lun daman-e-qayamat kaise roz ek taza sitam roz nai ek jafa kahte ho lab pe tere aai shikayat kaise khana-e-dil se kabhi us ne nikale nahin panw marte dam niklegi dekhun meri hasrat kaise josh par hain wo umangen hain jawani ki hai mauj dekh kar un ko na lahrae tabiat kaise zikr-e-tariki-e-qabr aaya ki ye yaad aai bhule dil se shab-e-furqat ki musibat kaise chaal uda li hai jo teri to falak par hai dimagh naz ushshaq se karti hai qayamat kaise apni nadari pe kyon dagh lagae tu ne te pe rakh chhode hain do nuqte ye usrat kaise zabh ke waqt bhi munh mujh se wo phere hi rahe dekh leta hai kisi ki koi surat kaise shauq phir mujh ko madine ka hua ai 'akbar' dekhiye hoti hai rauze ki ziyarat kaise