taron ki jhamakti baadh tale aankhon mein raat guzari hai
By abid-razaFebruary 17, 2025
taron ki jhamakti badh tale aankhon mein raat guzari hai
aur aath minute ki duri par suraj ki zard amari hai
gardun pe kamanden dal chuke khurshid uchhaala neze par
imkan ki sarhad par hui ab aage ki tayyari hai
table ki gat lahraati hai kafuri sham'on ki lau par
aur nima-e-shab ke mahzar mein sangat ko ek darbari hai
mustaqbil ke sayyare par kuchh sahib-e-amr mashin-zade
masruf hain kar-e-duniya mein aur apne liye bekari hai
bazar chadha to saudagar khwabon ke bughche bandh chale
raste mein magar shab-khun pada shamshir ajal ne mari hai
jis karan des bides lade lashkar payaade salar jawan
qasbaati qahba-khane ki lachkili si bhatiyari hai
iman aur sabr ki wadi se jannat ki taraf jaana tha magar
kuchh iman ki kamzori hai kuchh sabr ka patthar bhaari hai
gar waqt ka dhaara tut gaya phir mahfil-e-hast-o-bud kahan
bahte hue dariya par tu ne kya soch ke lathi mari hai

77788 viewsghazal • English