taron se bhari rahguzar le ke gai hai ye subh charaghon ka nagar le ke gai hai tum ko to pata hoga ki hamrah tumhin the duniya mere khwabon ko kidhar le ke gai hai pyase the to pani ko pukara tha hamin ne naddi idhar aai hai to ghar le ke gai hai ek manzil-e-be-maqsad o be-nam ki khwahish kanton ki sawari pe safar le ke gai hai be-baal-o-pari ab bhi sar-e-dasht hai mahfuz aandhi to faqat barg o samar le ke gai hai shayad ki ab aae teri qurbat ki nai fasl is bar dua bab-e-asar le ke gai hai chamkega abhi zewar-e-shahzadi-e-mahtab us tak wo mere shab ki khabar le ke gai hai