taron se mera jam bharo main nashe mein hun

By saghar-siddiquiNovember 15, 2020
taron se mera jam bharo main nashe mein hun
ai sakinan-e-khuld suno main nashe mein hun
kuchh phul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada
tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun


thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun
nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein
bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun


mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jam samne hi rakho main nashe mein hun
pael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun


main dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein
mere abhi qarib raho main nashe mein hun
hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghar' ba-dosh lala-rukho main nashe mein hun


34600 viewsghazalEnglish