tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota

By saleem-shahidNovember 15, 2020
tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota
dard rangin badan shishe ka bartan hota
kis liye roz badalta hun main malbus naya
aisa kachcha to na us naqsh ka roghan hota


pair kamre se nikale to main bazar mein tha
hai ye hasrat ki mere ghar ka bhi aangan hota
aanch mil jati jo kuchh aur to jauhar khulte
tum jise rakh samajhte ho wo kundan hota


kuchh zamin ki hai ye tasir ki chehre hain hasin
shahr gar shahr na hota koi gulshan hota
main bhatakta na kabhi raat ki tariki mein
aise sunsan mein ghar tha to wo raushan hota


87922 viewsghazalEnglish