taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte ek harf na nikla honton se aur aankh mein aansu aa bhi gae arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi mahfil to teri suni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae us mahfil-e-kaif-o-masti mein us anjuman-e-irfani mein sab jam-ba-kaf baithe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae