taslim kar raha hun ki tera raqib hun
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
taslim kar raha hun ki tera raqib hun
tu sochta to hoga main kitna 'ajib hun
ehsan kar raha hai tera hijr in dinon
main in dinon khuda ke ziyaada qarib hun
mujh ko tumhaare 'ishq ne di hain tasalliyan
kuchh log kah rahe the main kitna gharib hun
afsana mujh se koi mukammal na ho saka
tu jaanta nahin main adhura adib hun
apni hatheliyon se yahi puchhta hun main
kuchh to pata chale ki main kis ka nasib hun
mumkin hai is ke ba'd koi shai na dekh paun
main aaj raat chand ke behad qarib hun

81549 viewsghazal • English