tassub ka agar pauda yahan panpa nahin hota

By arshad-rasool-badayuniOctober 27, 2023
ta'assub ka agar pauda yahan panpa nahin hota
to itna bhi lahu insan ka sasta nahin hota
lagi hai bhid apnon ki kabhi tanha nahin hota
ghamon ke sakht mausam mein koi apna nahin hota


kahin khargosh ban kar khwab sote hi na rah jaen
safar mein der tak aaram bhi achchha nahin hota
agar toda gaya to ek khanjar ban ke ubhrega
tumhaari bhul hai nazuk kabhi shisha nahin hota


agar ladte jhagadte hi nahin hum billiyon jaise
ye mauqa bandaron ke hath mein aaya nahin hota
zara si der mein mil jaegi shohrat burai ko
magar 'arshad' yahan sachchai ka charcha nahin hota


22209 viewsghazalEnglish