taswir-e-na-mukammal ek tishnagi ka khaka par phadphada raha hai anqa meri sada ka sab kyon dikha rahe hain mauhum si kharashen puchha tha sirf main ne bimar se dawa ka diwangi nahin jo chhu chhu ke dekhta hun aankhen hi ab mili hain andha tha main sada ka hathon ko jaane kab se bas dhoe ja raha hun sada se canwas par saya sa hai hawa ka chhedo na in ragon ko shakhen ye phul si hain marham na mil sakega phir zakhm-e-narawa ka wahmon ki sau hain shaklen lakdi ke ek ghar mein kya kya nahin dikhata ye raat ka khataka ek be-dimagh hathi lashkar se aa mila hai ab ye dimagh hoga lashkar ke naqsh-e-pa ka