tauba ki nazishon pe sitam dha ke pi gaya pi! us ne jab kaha to main ghabra ke pi gaya dil hi to hai uthae kahan tak gham-o-alam main roz ke malal se ukta ke pi gaya thin lakh garche mahshar o marqad ki uljhanen gutthi ko zabt-e-shauq ki suljha ke pi gaya mai-khana-e-bahaar mein muddat ka tishna-lab saqi khata-muaf! khata kha ke pi gaya niyyat nahin kharab na aadi hun ai nadim! aalam-e-rozgar se tang aa ke pi gaya! saqi ke husn-e-dida-e-mai-gun ke samne main jalwa-e-bahisht ko thukra ke pi gaya uttha jo abr dil ki umangen chamak uthin lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya dil kuchh subut-e-hifz-e-shariat na de saka saqi ke lutf-e-khas pe itra ke pi gaya