tauhid dil mein ho to labon par rahe KHuda

By athar-shakeelOctober 27, 2020
tauhid dil mein ho to labon par rahe khuda
hum yun jiye to kya jiye be-din be-khuda
lo yun to ho gai hai bahut kam zamir ki
is aakhiri charagh ko bujhne na de khuda


to rah-e-rast apne karam se dikha mujhe
raste ghalat hazar hain duniya mein ai khuda
talib hain bartari ke magar hain amal se dur
hum ko jo kaam karna hai wo kyun kare khuda


gar zaniyon ko milti nahin hai saza yahan
hawwa ki betiyon se kashish chhin le khuda
ab to sukun bakhsh ki 'athar-shakil' ne
is umr-e-mukhtasar mein bahut dukh sahe khuda


40396 viewsghazalEnglish