tawil raaton ki khamushi mein meri fughan thak ke so gai hai tumhaari aankhon ne jo kahi thi wo dastan thak ke so gai hai gila nahin tujh se zindagi ke wo zawiye hi badal chuke hain meri wafa wo tere taghaful ki nauha-khwan thak ke so gai hai mere khayalon mein aaj bhi khwab ahd-e-rafta ke jagte hain tumhaare pahlu mein kahish-e-yaad-e-astan thak ke so gai hai sahar ki ummid ab kise hai sahar ki ummid ho bhi kaise ki zist ummid o na-ummidi ke darmiyan thak ke so gai hai na jaane main kis udhed-bun mein ulajh gaya hun ki mujh ko 'rahi' khabar nahin kuchh wo aarzu-e-sukun kahan thak ke so gai hai