tazgi har shai pe aai mausam-e-barsat mein khil utha zakhm-e-judai mausam-e-barsat mein kaise murda log phir se zinda honge dekh lo di zaminon ne gawahi mausam-e-barsat mein dushmanon ko ek kar de rab ki qudrat be-misal fasl-e-baran dhup lai mausam-e-barsat mein abr tu insan ke jaisa adl se ghafil na ho kya zamin apni parai mausam-e-barsat mein thandi purwai chali to un ki mauj-e-zulf bhi gal ke sahil tak aai mausam-e-barsat mein sondhi sondhi si mahak aai to yaad aaya hamein aap ka dast-e-hinai mausam-e-barsat mein waqt jis ke sath hai tu bhi usi ke sath chal garmiyon ki kar burai mausam-e-barsat mein ghan-garaj kar dad dete hain tumhein baadal 'nabil' kya ghazal tum ne sunai mausam-e-barsat mein