tegh-e-pur-khun wo agar dhoe kanar-e-dariya khanda-zan rang-e-chaman par ho bahaar-e-dariya atash-e-ishq ki lazzat ye mili hai hum ko ja giren aag mein aur hon na dochaar-e-dariya durra-e-mauj lagata hai use be-taqsir kyun na ho lasha mera shikwa-guzar-e-dariya surkhi-e-aks-e-shafaq par jo pada lab ka guman lal-o-yaqut kiye hum ne nisar-e-dariya nakhl-e-khwahish jo nahin hota hai is se sarsabz girya karta hai mera khanda ba-kar-e-dariya machhliyan lakht-e-jigar banti hain dariya aansu kis gul-e-tar ko hua shauq-e-shikar-e-dariya kya gul-andam koi is mein nahaya tha jo aaj rag-e-gul se hain moattar khas-o-khar-e-dariya kis ki zulf-e-araq-afshan ka tasawwur hai unhen lipte hi jate hain bahron se jo mar-e-dariya sail-e-afat mein tan dete hain jo ai 'ghafil' misl-e-khashak wo rahte hain sawar-e-dariya