tera chehra tera husn-e-wafa kuchh aur kahta hai magar shirin-labon ka zaiqa kuchh aur kahta hai tujhe sab shairon ne apne apne rang mein dhaala magar meri ghazal ka aaina kuchh aur kahta hai ajab si kashmakash mein hun zawal-e-ishq hai lazim sanam kuchh aur kahta hai khuda kuchh aur kahta hai teri qurbat mein chahat ki kashish dekhi nahin lekin hamare darmiyan ka fasla kuchh aur kahta hai andheron se nikal chal jugnuon se dosti kar len hawa kuchh aur kahti hai diya kuchh aur kahta hai hamari rah thi rah-e-wafa 'ishraq' ab lekin hamare qafile ka rahnuma kuchh aur kahta hai