tera hi nam kafi hai to ghairon ka bayan kyon ho nae kirdar se bojhal ye meri dastan kyon ho tere bhi panw badhte hain meri bahen bhi phaili hain to phir ye fasla itna hamare darmiyan kyon ho agar hai rahbar sadiq to koi rah dikhlae jo bhatke dar-ba-dar aise wo mir-e-karwan kyon ho ho dil mein gham magar pur-nam na ho aankhen kabhi teri chhupa hai dil mein jo dariya wo aankhon se rawan kyon ho zara bazm-e-sukhan dekhe mera meyar-e-fan logo diya hai jo khuda ne fan mujhe wo raegan kyon ho kai kohsar dard-o-gham ke duniya mein uthane hain to phir ye hijr ki shab ek mujh par sargiran kyon ho ye achchha hai ki soz-e-ishq mein chup-chap jal jaen faqat tashhir ki khatir 'sahab' itna dhuan kyon ho