tera husn-o-jamal likhta hun

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
tera husn-o-jamal likhta hun
'ishq ka 'arz-e-haal likhta hun
mera apna nahin hai kuchh bhi yahan
main kisi ke khayal likhta hun


maut ko apni taq par rakh kar
khud main apni majal likhta hun
us qayamat se fursaten le kar
is qayamat ka haal likhta hun


khush-khirami se munh chhupa kar main
dard-o-zar-o-wabaal likhta hun
raushnai hai raushni mujh ko
surkh rang-e-gulal likhta hun


wo hai ek but khamosh rahta hai
main hun sail sawal likhta hun
ek puri ghazal likhi lekin
ek adhura malal likhta hun


yun to likhta nahin hun main aksar
likh diya to kamal likhta hun
log sunte nahin hain jab mujh ko
tab main ja kar 'khayal' likhta hun


25555 viewsghazalEnglish