tera KHayal faqat mera aaina kyon hai

By basit-azeemJanuary 2, 2024
tera khayal faqat mera aaina kyon hai
tu hi bata meri fitrat mein ye wafa kyon hai
khizan-nasib bahaaron ka silsila kyon hai
hamare sath hi aakhir ye hadisa kyon hai


amir-e-shahr se har aadmi hai ham-ahang
gharib-e-shahr magar itna be-nawa kyon hai
har ek lamha dikhaega dard ki taswir
gae zamane ki jaanib tu dekhta kyon hai


agarche jhut hi me'yar-e-sidq thahra hai
to phir ye sach ke khudaon ko pujta kyon hai
khud apne aap ko tu ne bikher rakkha tha
ab apne aap ko aakhir sameta kyon hai


wo jin ka zikr bhi tauhin-e-adamiyyat tha
ab aise khak-nashinon ka tazkira kyon hai
hamein pata hai ki kya ‘arz-e-mudda'a hoga
hamare samne tamhid bandhta kyon hai


agar nahin hai asar meri aah-o-zari mein
sukut-e-shab mere nalon se tutta kyon hai
jab us se koi ta'alluq nahin 'azim' to phir
hamari samt mohabbat se dekhta kyon hai


37314 viewsghazalEnglish