tera KHayal teri tamanna tak aa gaya

By kashif-husain-ghairNovember 3, 2020
tera khayal teri tamanna tak aa gaya
main dil ko dhundhta hua duniya tak aa gaya
kya itna badh gaya meri tishna-labi ka shor
sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya


lekin khizan ki nazr kiya aakhiri gulab
har-chand is mein mujh ko pasina tak aa gaya
aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya
aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya


kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir
rishton ko chhod-chhad ke ashya tak aa gaya
lekin kisi dariche se jhanka na koi raat
sun kar meri pukar sitara tak aa gaya


'kashif'-husain yar utho ab to chal pado
chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya
33284 viewsghazalEnglish