tera kya kaam ab dil mein gham-e-jaanana aata hai nikal ai sabr is ghar se ki sahib-khana aata hai nazar mein teri aankhen sar mein sauda teri zulfon ka kai pariyon ke sae mein tera diwana aata hai wafur-e-rahmat-e-bari hai mai-khwaron pe in rozon jidhar se abr uthta hai su-e-mai-khana aata hai lagi dil ki bujhae bekasi mein kaun hai aisa magar ek girya-e-hasrat ki be-tabana aata hai unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain ajal tujh ko bhi kitna naz-e-mashuqana aata hai pareshani mein ye aalam teri zulfon ka dekha hai ki ek ek baal par qurban hone shana aata hai chhalak jata hai jam-e-umr apna wae-nakaami hamare munh talak saqi agar paimana aata hai wo but hi mehrban sab apna apna haal kahte hain lab-e-khamosh tujh ko bhi koi afsana aata hai tilism-e-taza tera saya-e-diwar rakhta hai badalta hai pari ka bhes jo diwana aata hai ye azmat rah ke zahid in buton mein hum ne pai hai ki kaba hum ko lene ta-dar-e-mai-khana aata hai do-rangi se nahin khali adam bhi surat-e-hasti koi hoshyar aata hai koi diwana aata hai huma yun ustukhwan-e-sokhta par mere girta hai tadap kar shama par jaise koi parwana aata hai udhar hain husn ki ghaten idhar hain ishq ki baaten tujhe afsun to mujh ko use pari afsana aata hai kaleja hath se ahl-e-tama ke chaak hota hai sadaf-asa agar mujh ko mayassar dana aata hai namak jallad chhidka chahta hai mere zakhmon par maze ka waqt ab ai himmat-e-mardana aata hai zabardasti ka dhadka wasl mein tum ko samaya hai kidhar ho hosh mein aao koi aaya na aata hai ilahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar mera ki ban jata hai jugnu aaj jo parwana aata hai wo aashiq khal-o-khat ka hun nazr-e-mor karta hun mayassar tisare din bhi jo mujh ko dana aata hai 'amir' aur aane wala kaun hai gor-e-ghariban par jo raushan shama hoti hai to han parwana aata hai