tera tarz-e-amal barq-e-tapan dekha nahin jata chaman se ja-ba-ja uthta dhuan dekha nahin jata chaman-zaron mein kuchh zagh-o-zaghan aise bhi hain jin se hamara shakh-e-gul par aashiyan dekha nahin jata khudawanda utha le ya basarat chhin le meri ki ab mujh se to ye ahd-e-rawan dekha nahin jata bala se kuchh natija ho mera to faisla ye hai sadaqat ho to kuchh sud-o-ziyan dekha nahin jata ziya gar sheriyat mein sanat-e-iham aa jae to phir achchha-bura husn-e-bayan dekha nahin jata