tere aanchal ko dhani likh raha hun tujhe main raat-rani likh raha hun ye dard-e-dil ye aansu zakhm sare kisi ki mehrbani likh raha hun hai mere zehn mein jis ka tasawwur use pariyon ki rani likh raha hun kisi ko lan-tarani lag rahi hain jo baaten khush-bayani likh raha hun tere lab mere lab ke ma-hasal hain tere sadqe jawani likh raha hun hawa ko bhi kabhi main kat dunga abhi pani pe pani likh raha hun jalal-ud-ddin-akbar se na kahna mohabbat ki kahani likh raha hun jise kahti hai duniya naukrani use mahlon ki rani likh raha hun adab se baithiye khamosh rahiye buzurgon ki nishani likh raha hun jise 'ishraq' jo karna hai kar le main is duniya ko fani likh raha hun