tere aasar miTane mein bahut der lagi

By uzma-naqviMarch 2, 2021
tere aasar mitane mein bahut der lagi
khud ko is par bulane mein bahut der lagi
tu meri zat ka khoya hua hissa hai koi
tujh ko ye baat batane mein bahut der lagi


zindagi jis ki har ek tal pe karti hai dhamal
dil ke wo tar bajaane mein bahut der lagi
aaina mujh ko yun dekhe ki simatti jaun
tere rangon ko bahane mein bahut der lagi


jis ki tabir mein be-shakl nikhar jate hain
mujh ko us khwab ke pane mein bahut der lagi
raat phir hijr ke takiye pe kiye gesu daraaz
raat phir khud ko sulane mein bahut der lagi


kitne bikhre hue rangon mein mili hai furqat
mujh ko ye rizq uthane mein bahut der lagi
wasl ke khwab meri nasl hi ab dekhegi
hijr mein rasta pane mein bahut der lagi


25136 viewsghazalEnglish