tere bachchon mein aisi dilkashi malum hoti hai
By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
tere bachchon mein aisi dilkashi ma'lum hoti hai
ki jaise gul ke rukh par tazgi ma'lum hoti hai
main sajde mein jo gir jata hun madhoshi ke 'alam mein
jahan walon ko shayad mai-kashi ma'lum hoti hai
bataun kya ki jab se mujh se nalan hain wo bad-zan hain
bahut ruthi hui ye zindagi ma'lum hoti hai
tumhaare talkh lahje se pata chalta hai ye 'ahmad'
tumhein mujh se koi naraazgi ma'lum hoti hai

86769 viewsghazal • English