tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya

By shamim-danishFebruary 29, 2024
tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya
tuti jo nind khwab ka paikar bikhar gaya
tere baghair la na saka dhadkanon ki tab
wo dil jo tut kar mere andar bikhar gaya


us paikar-e-jamal ne dale the sirf panw
dariya mein raushni ka samundar bikhar gaya
aandhi tera ghurur to qaem raha magar
chidiyon ka ek jahan zamin par bikhar gaya


yun muntashir hua hai meri zindagi ka khwab
jaise mere wajud ka mehwar bikhar gaya
aisa laga ki sara jahan jit lega wo
aai jo dhup mom ka lashkar bikhar gaya


49957 viewsghazalEnglish