tere baghair hun zinda magar ye haalat hai
By farooq-noorFebruary 6, 2024
tere baghair hun zinda magar ye haalat hai
ye aati jati hui sans bhi aziyyat hai
main zindagani ke ab aakhiri padaw pe hun
kahan ho tum ki tumhaari mujhe zarurat hai
tere baghair bhi ek raat ji ke dekh liya
tere baghair bhi ye raat khub-surat hai
badan ke sare taqaze to ho gae pure
magar abhi bhi tumhaari mujhe zarurat hai
tere baghair to mumkin na tha mera jina
tere baghair bhi zinda hun mujh ko hairat hai
usi ki yaad hai ab 'nur' mashghala apna
wo ek shakhs jise bhulne ki 'adat hai

69842 viewsghazal • English