tere baghair koi gawara nahin kiya

By shahbaz-choudharyJanuary 5, 2024
tere baghair koi gawara nahin kiya
hum ne kisi se 'ishq dubara nahin kiya
suraj ko mere nam ki parchhai kha gai
main ne diya jala ke guzara nahin kiya


tha lautne ki soch mein hi haar ka sabab
kashti jala ke tum ne kinara nahin kiya
main dubta raha hun safinon ke aas-pas
lekin kisi bhi samt ishaara nahin kiya


28904 viewsghazalEnglish