tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
tere bichhadne ka dukh apne khandan ka dukh
hamari zat ko hai sare karwan ka dukh
huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat ka
huzur aap to sunte the be-zaban ka dukh
khamosh baith ke ek dusre ko sunte hain
za'if ped samajhta hai naujawan ka dukh
safar tawil hai aur zad-e-rah bhi kam hai
laga hua hai mujhe nam-zada makan ka dukh
safar mein tu hai magar panw thak rahe hain mere
thaka raha hai mujhe yun teri thakan ka dukh
kaniz-e-khas bana di gai thi shahzadi
use diya bhi gaya to usi ki shan ka dukh
gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniya mein
kabhi makan ka dukh hai kabhi dukan ka dukh
nahin hai kuchh bhi yahan is hisar se bahar
kahin khamoshi ka gham hai kahin bayan ka dukh

43159 viewsghazal • English