tere diwane ne diwar mein dar khola hai sar-e-aflak naya bab-e-qamar khola hai dhal gaya din bhi wahin raat ne dera dala thak ke rahraw ne jahan rakht-e-safar khola hai mere chup rahne pe bhi baat wahan tak pahunchi raaz-e-dil tu ne magar dida-e-tar khola hai hum kabhi tah se samundar ke hain moti lae kabhi parcham sar-e-mah sina-sipar khola hai dar-e-shabnam mah-o-anjum hain kabhi jalwa-farosh kis ne ganjina ye har sham-o-sahar khola hai kohkan ban ke kabhi hum ne ba-rang-e-majnun ishq ka bab ba-andaz-e-digar khola hai hasad-o-hirs-o-hawas aise kai chor mile main ne chup-chap kabhi apna jo ghar khola hai saikdon khwahishon ki naginen dasne ko badhin hum ne jab bhi dar-e-ganjina-e-zar khola hai jis ko dekho wahi warafta-e-manzil hai yahan wah kya maktaba-e-fikr-o-nazar khola hai kis ko fursat jo sune teri kahani 'mahir' daftar ek shikwon ka ye tu ne magar khola hai