tere ehsas ko chhu kar laga hai

By adeeb-damohiOctober 31, 2024
tere ehsas ko chhu kar laga hai
tu mere pas hai aksar laga hai
hawaen tak mo'attar hain wahan ki
jahan bhi 'ishq ka mimbar laga hai


qarar aaega mere jism ko ab
mera kanton-bhara bistar laga hai
mita dala khud apne aap ko tab
mohabbat mein mera number laga hai


ahata kar nahin paya main us ka
wo meri soch ke bahar laga hai
du'aen bantta hai har kisi ko
shahanshahon se wo badh kar laga hai


'adib' aa jae na khushiyon ka suraj
shab-e-gham ko isi ka dar laga hai
96280 viewsghazalEnglish