tere firaq mein yun zindagi sanwar jae
By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
tere firaq mein yun zindagi sanwar jae
har ek lamha teri yaad mein guzar jae
nashat-e-wasl-o-gham-e-hijr ke sahaare par
bura hi kya hai agar zindagi guzar jae
hayat jism ka jaise uphanta dariya hai
koi zi-hausla jo ho to par utar jae
hum us ki mang mein sindur bharne aae hain
gham-e-hayat se kah do zara sanwar jae
kahin to khatm ho ye regzar-e-sud-o-ziyan
kahin to aa ke zamana zara thahar jae
'kanwal' zara use khun-e-jigar se bharne do
ki husn-e-arzu kuchh aur bhi nikhar jae

33288 viewsghazal • English