tere gham se ubharna chahta hun

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
tere gham se ubharna chahta hun
main apni maut marna chahta hun
dhadhakti aag hai sae mein jis ke
pasina khushk karna chahta hun


ye fan itna magar aasan kahan hai
zarurat bhar bikharna chahta hun
nahin dhona ye budha jism mujh ko
sawari se utarna chahta hun


kisi ki nabz par ho hath mera
'ilaj apna hi karna chahta hun
tabhi main mashwara karta hun sab se
jab apne dil ki karna chahta hun


khuda jaane use khone se 'shaariq'
main darta hun ki darna chahta hun
96798 viewsghazalEnglish