tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh log kya sada hain suraj ko dikhate hain charagh apni mahrumi ke ehsas se sharminda hain khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh bastiyan dur hui jati hain rafta rafta dam-ba-dam aankhon se chhupte chale jate hain charagh kya khabar un ko ki daman bhi bhadak uthte hain jo zamane ki hawaon se bachate hain charagh go siyah-bakht hain hum log pe raushan hai zamir khud andhere mein hain duniya ko dikhate hain charagh bastiyan chand sitaron ki basane walo kurra-e-arz pe bujhte chale jate hain charagh aise bedard hue hum bhi ki ab gulshan par barq girti hai to zindan mein jalate hain charagh aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz' raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh