tere jaisa koi mila hi nahin

By fahmi-badayuniOctober 29, 2020
tere jaisa koi mila hi nahin
kaise milta kahin pe tha hi nahin
ghar ke malbe se ghar bana hi nahin
zalzale ka asar gaya hi nahin


mujh pe ho kar guzar gai duniya
main teri rah se hata hi nahin
kal se masruf-e-khairiyat main hun
sher taza koi hua hi nahin


raat bhi hum ne hi sadarat ki
bazm mein aur koi tha hi nahin
yar tum ko kahan kahan dhunda
jao tum se main bolta hi nahin


yaad hai jo usi ko yaad karo
hijr ki dusri dawa hi nahin
80745 viewsghazalEnglish