tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar
'ayan hona nihan ho kar nihan hona 'ayan ho kar
ta'ajjub hai nasib-e-‘ishq ki ruh-e-rawan ho kar
wo kyon zulmat pe hawi hain nigahon se nihan ho kar


agar sayyaad ne dekha kabhi kuchh mehrban ho kar
tamanna rah gai takti nasib-e-dushmanan ho kar
sitam dhane lagi jab aarzu dil ki jawan ho kar
rahi aathon pahar wahshat mohabbat ki ‘inan ho kar


butan-e-sho'la-ru ki sehr-samani ka kya kahna
khudai kar rahe hain jaan-e-musht-e-ustukhwan ho kar
tasawwur mein liye baithe hain jalwon ki amanat ko
nazar sab ki zamin par aa gai hai aasman ho kar


nazar ka said ho jaana qarin-e-‘aql tha lekin
khabar kya thi ki dil rah jaega nazr-e-butan ho kar
musalsal bewafai par to ek 'alam hai shaidai
nahin un ki na jaane kya ghazab dhaegi han ho kar


bahar-surat mata'-e-'shad' hai nairangi-e-'alam
khizan chhai bahaar ho kar bahaar aai khizan ho kar
58980 viewsghazalEnglish