tere KHayal ke sadqe ye kya maqam aaya

By dil-ayubiOctober 29, 2020
tere khayal ke sadqe ye kya maqam aaya
kabhi hayat kabhi maut ka payam aaya
tera khayal mera soz-e-arzu-e-sahar
koi to tha shab-e-furqat jo dil ke kaam aaya


kisi umid ka mara dikhai deta tha
wo khush-nasib parinda jo zer-e-dam aaya
kisi ke khat mein kahen zikr tak na tha us ka
wo ek payam-e-khususi jo dil ke nam aaya


na puchh kitni hayat-afrin hai rah-e-wafa
suna hai 'dil' bhi usi marhale mein kaam aaya
34759 viewsghazalEnglish