tere liye chale the hum tere liye thahar gae tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gae kat hi gai judai bhi kab ye hua ki mar gae tere bhi din guzar gae mere bhi din guzar gae tu bhi kuchh aur aur hai hum bhi kuchh aur aur hain jaane wo tu kidhar gaya jaane wo hum kidhar gae rahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gain wo bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gae waqt hi judai ka itna tawil ho gaya dil mein tere visal ke jitne the zakhm bhar gae hota raha muqabla pani ka aur pyas ka sahra umad umad pade dariya biphar biphar gae wo bhi ghubar-e-khwab tha hum bhi ghubar-e-khwab the wo bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gae koi kanar-e-abju baitha hua hai sar-nigun kashti kidhar chali gai jaane kidhar bhanwar gae aaj bhi intizar ka waqt hunut ho gaya aisa laga ki hashr tak sare hi pal thahar gae barish-e-wasl wo hui sara ghubar dhul gaya wo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gae aab-e-muhit-e-ishq ka bahr ajib bahr hai taire to gharq ho gae dube to par kar gae itne qarib ho gae apne raqib ho gae wo bhi 'adim' dar gaya hum bhi 'adim' dar gae us ke suluk par 'adim' apni hayat o maut hai wo jo mila to ji uthe wo na mila to mar gae