tere liye main bazi lagaungi jaan ki ye intiha hai tere bharam ke guman ki mujh pe laga ke bandishen duniya-jahan ki khud sair kar rahe ho miyan aasman ki dhanda kiye hain aap hi barud ka miyan aur baat kar rahe hain ji amn-o-aman ki bad-khu-o-bad-zaban kaho be-adab kaho tarif mein ai dosto har 'haq'-bayan ki