tere mere bich rahi ab pahle jaisi baat kahan
By puja-parastishFebruary 28, 2024
tere mere bich rahi ab pahle jaisi baat kahan
pahle se jazbaat kahan pahle jaise lamhat kahan
yaad aata hai wo sawan jab hum tum bhiga karte the
barish ab bhi hoti hai par hoti ab barsat kahan
raaton ko pahlu mein aa tum pyar ke naghma gate the
sundar surmai shamon si ab jaanan koi raat kahan
gar tha wasl ka daur kabhi to hijr bhi hona lazim tha
mausam ke bhi yaksar rahte ek jaise haalat kahan

19958 viewsghazal • English