tere nalon se koi badnam hota jaega tu bhi ai dil morid-e-ilzam hota jaega mutmain hun main ki ho jaega saman-e-sukun dard badhta jaega aaram hota jaega wajh-e-nakaami na hon ai dil teri be-sabriyan sabr se le kaam khud har kaam hota jaega chhod de ai dil tamanna zindagi ki chhod de tu halak-e-gardish-e-ayyam hota jaega hum tahi-dastan-e-qismat mar gae pyase to kya mai-kade mein yunhi daur-e-jam hota jaega iltifat-e-naz jo makhsus tha mere liye kya khabar thi rafta rafta aam hota jaega aib hai 'shakir' har ek ke samne arz-e-hunar nam ki khwahish mein tu badnam hota jaega