tere nazdik hi har-waqt bhaTakta kyun hun

By santosh-khirvadkarNovember 17, 2020
tere nazdik hi har-waqt bhatakta kyun hun
tu bata phul ke jaisa main mahakta kyun hun
main na raaton ka hun jugnu na koi tara par
us ki aankhon mein magar phir bhi chamakta kyun hun


us paheli ka koi hal to batao yaro
hijr ki raaton mein aatish sa dahakta kyun hun
ghar banaya hai tere dil mein usi din se sanam
sari duniya ki nigahon mein khatakta kyun hun


hasidon ko badi tashwish hai is ki jaanam
ban ke dhadkan main tere dil mein dhadakta kyun hun
jab tujhe mujh se mohabbat nahin ye batla de
qatra qatra teri aankhon se tapakta kyun hun


67914 viewsghazalEnglish