tere qad talak jo hote tera kan khinch lete

By amit-vermaJanuary 1, 2024
tere qad talak jo hote tera kan khinch lete
jo rakha hai sar pe tu ne wo guman khinch lete
ye to aap hain jo itna hamein bol pa rahe hain
agar aur koi hota to zaban khinch lete


ye safar ki jo thakan hai ye na hoti wo jo hote
ki gale laga ke mujh ko wo thakan khinch lete
mujhe chhedne ko un ka kabhi dil jo chahta to
kabhi gal khinch lete kabhi kan khinch lete


agar aankh band kar ke meri jaan main na gata
tere nain kale kale mera dhyan khinch lete
un 'azizon se agar tu na chhudata apna daman
wo gale laga ke rahbar teri jaan khinch lete


97563 viewsghazalEnglish