tere qarib aa ke badi uljhanon mein hun main dushmanon mein hun ki tere doston mein hun mujh se gurez-pa hai to har rasta badal main sang-e-rah hun to sabhi raston mein hun tu aa chuka hai sath pe kab se khabar nahin bedard main abhi unhin gahraiyon mein hun ai yar-e-khush-dayar tujhe kya khabar ki main kab se udasiyon ke ghane jangalon mein hun tu lut kar bhi ahl-e-tamanna ko khush nahin yan lut ke bhi wafa ke inhi qafilon mein hun badla na mere baad bhi mauzu-e-guftugu main ja chuka hun phir bhi teri mahfilon mein hun mujh se bichhad ke tu bhi to roega umr bhar ye soch le ki main bhi teri khwahishon mein hun tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar aur phir bhi main sharik tere qahqahon mein hun khud hi misal-e-lala-e-sahra lahu lahu aur khud 'faraaz' apne tamashaiyon mein hun