tere qarib pahunchne ke dhang aate the ye khud-fareb magar rah bhul jate the hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren ki jin ke sae bhi diwar bante jate the satiz-e-naqsh-e-wafa tha talluq-e-yaran wo zakhma-e-rag-e-jaan chhed chhed jate the wo aur kaun tere qurb ko tarasta tha fareb-khurda hi tera fareb khate the chhupa ke rakh diya phir aagahi ke shishe ko is aaine mein to chehre bigadte jate the ab ek umar se dukh bhi koi nahin deta wo log kya the jo aathon pahar rulate the wo log kya hue jo unghti hui shab mein dar-e-firaq ki zanjir si hilate the