tere ruKHsar se jab jab hai guzarte aansu
By arpit-sharma-arpitOctober 25, 2020
tere rukhsar se jab jab hai guzarte aansu
jism-o-jaan mein mere jaise hai utarte aansu
zindagani ke kai rang dikhate hain ye
kya kahun kya hain ye palkon pe thaharte aansu
jab bhi raaton ko teri yaad kabhi aati hai
sard aahon se hain aankhon ko ye bharte aansu
shabnami subh mein mahaul ko mahkate hain
ghuncha-o-gul ki tarah hain ye nikharte aansu

81030 viewsghazal • English